Bana hai pura hone ke liye,
Banayi maine khud ki rahe,
Thode the kante thode ansu,
Magar khali na gayi meri ma papa ka ashirwad Aur meri behen ka pyar,
Mil gayi muje meri chahat...
Chala jeene apna sapna mai...
Like to write shayari but never kept a note of them... Now started blogging to make my andaz at one place and help others to let them share it and also help me improve myself... Describing life or describing love... All can be done in poem way...so why not do it in little impressive way
Ae waqt...
Ye lamha na there,
Bas chalta jaye...
Ae dost..
thaam haath humara,
Aur safar yuhi hi chalta jaye...
Tadap is dil ki,
Us chehre ko hum bheed me talashte rahe..
Nazare mili na uski nazaro se,
Bas chehra hi hum niharte rahe..
Lavzon me banyan karna tha kuch,
Magar uske hoto ki hassi me khoye se reh gaye..
Phulo ki khushboo ki tarah,
Suraj ki roshni ki tarah...
Ye din hai khaas bada,
Is din duniya meheki thi zara,
Naye phulon ki bagiya khili thi zara,
Dekh muskurahat teri khushiyan ayi thi zara...
Shukriya khuda ka jo usne itna haseen dost banaya,
Shukriya us lamhe ka jisne haseen dost milaya..
Ye din na hota khaas agar na hua hota un beete lamho ka ehsaas,
Shukriya is din ka jisne hamari berang zindagi me naya rang bhara..
Hamare haseen dost ko janamdin ki shubhkamnaye..
Apki haseen muskurahat sada bani rahe yahi khwaish hai hamari...
Abhi to dil ne bataya nai,
Puchne ka mauka kabhi mila nai...
Jis din dhadkane hongi tez,
Tab puchenge dil se dekh use nazare milayi kyu nai...
Zindagi hai lamho se bana,
Dard ka rang lata hai nikar lamho ka..
Yaadein ban wo kadam age badate hai,
Lamhe jina kuch naya sikhate..
Saza dusre nai dete,dete hum khud hai,
Ho khud khud hi se rith jate hai...
Zindagi bas muskurane ke bahane deti hai,
Wo lamhe ji liya to khushiyan,
Na ji sake to aankhen nam..
Par kya zindagi ne wo nami di thi..
Ya humne nami apnayi thi...
Nami to bas jeene ka raaz jatati hai..