Monday 8 February 2016

Kuch lavz shukriyada ke jo maine mehsus to kara magar kabhi keh na saka...

Shukriya ma papa...for making every thorn in my life blossom into a rose...
Shukriya meri pyari behena...for being there on every difficult turn in my life...
Kuch jyada na sahi apni behen ke liye kuch karna tha,
Uski zindagi ka ek aehem lamha na bhul sake koi aesa kuch sochna tha,
Keh diya tha ma ne bhi bhai ka farz ada muje karna hai,
Koi kuch bhi kahe muje ye shaadi sunhere aksharo me likhwani thi...
Kardu tere naam ye taare kardu lamhe ye pyare,
Magar jo tune chuna hai dulha apna ....use bhi to apnana tha...
Tuje chidane me ab akela nai,
Puri kardi kami jijaji ne jud saath humare...
Thodi der se hi sahi...waqt laga magar aaj apne sabse pyare jode ko ye kehta hu...
Shukriya meri zindagi me ye lamha diya ....apne muje ye mauka diya...
Shayad na keh pata kisi tareeke se apko shukriya...
Ye shaadi ki yaaden ....ye taare taufe me apko deta hu...

Thank god for giving me a chance of making this wedding of the loveliest couple i have ever known a memorable one...




Wednesday 3 February 2016

Taufa kisi apne ke ehsaas ke liye...

Nai pata pyar kise kehte hai,
Nahi pata dil lagana kise kehte hai...
Magar jabse tum aye meri zindagi me,
Bas tumhe hi jana,tumhe hi chaha...
Tum bin na din guzre na kate raate...
Koi puche ki pyar kya hai to mai bas,Yahi keh reh jati hu...
Jiski awaz dil ko chuh jae,
Jiski khushbu ke bin phool bhi feeka lage,
Jiski muskurahat ke bin koi khushi achi na lage,
Jiska haath thaam har rah asan lage,
Jiske labho par khud ka naam sunne ka kar lamha mann kare,
Jo har lamha bas apka soche apka khayal rakhe,
Jiski narazgi bhi aur kareeb le aye,
Jiski dhun me bhi mai hu,
Jiski har prathna me mai hu...
Pyar wo hai,jise mai is jahan me sabse jyada chahti hu...