Tuesday 12 May 2020

Maa ke saath ka ehsas...

Door reh kar hi ehsaas hota tumhari kami ka maa....
Tumhare haath ke swad se banta ghar
Tumhare bina soona rehta ghar
Ab choti choti baaton par hasein bhi to kiske saath
Naraz ho bhi to kisse
Pareshan kare bhi to kise
Tum jo saath na ho maa...
Jab rehti hum me se ek ke saath...sukoon to  hai rehta magar dusre ko hi hai pata... Wo khali pan kaisa rehta...
Tum wo secret diary jisme hamari har baat chupi
Tum wo yaadon ki library jisme hamari har muskan har zidd har aansu hai...
Miss karten hain bolna chhota sa lagta kyuki tum bin bahot hai aesa jo tum sang hi hota...



Happy mother's day maa

No comments:

Post a Comment