Monday 28 October 2013

Janamdin dost ka..

Phulo ki khushboo ki tarah,
Suraj ki roshni ki tarah...

Ye din hai khaas bada,
Is din duniya meheki thi zara,
Naye phulon ki bagiya khili thi zara,
Dekh muskurahat teri khushiyan ayi thi zara...

Shukriya khuda ka jo usne itna haseen dost banaya,
Shukriya us lamhe ka jisne haseen dost milaya..

Ye din na hota khaas agar na hua hota un beete lamho ka ehsaas,
Shukriya is din ka jisne hamari berang zindagi me naya rang bhara..

Hamare haseen dost ko janamdin ki shubhkamnaye..

Apki haseen muskurahat sada bani rahe yahi khwaish hai hamari...