Monday 11 May 2015

Ma....
Ek khuda ki banayi moorat,
Jisse pooja har bache ne..
Diya khuda ka darja par kehte use ma hai...
Uski awaz har dard ki dawa hai,
Har pareshani ka hal hai,
Har dukh ka saath hai,
Har manzil ko pane ki chah hai...
Uske pyar ki chaya kadi dhoop me bhi thand ka ehsas hai,
Har marz ki dawa hai....
Har zokhim uthati ma,aanch na aye bache ko wo har dua karti hai ma..
Kare sab ghar ko yaad magar aye bas yaad ma ke haath ke khane ka swaad...
Bache ki har badmashiyan use achi lage...sab ho sab pareshan wo muskurati rahe...
Har khwaish use jarurat lage,
La deti wo sab jo bhi hume achi lage....
Wo sab chod humare liye bas jiye...khud rahe bhooki lekin hume pyasa bhi na rehne de...
Wo door baith kar bhi humara dil ka haal samaj le,
Uske liye humari har galti maaf hai..
Uske har lavz me pyar hai kbhi dost to kbhi papa ki daant hai...
Uski subah humse shuru humse khatam hoti....wo deti bas pyar hai...
Ma ke roop ko lavfoz me bandhana hosakta nai...kyuki jitni jee nai zindagi usse jyada mila ma ka pyar hai...
Nai magti kuch badale me bas krti beshuma pyar hai.....
Aesi pyar ke sagar ko kehte ma hai....


Love u ma....
Thank u god...fr such wonderful gift...