Tuesday, 18 August 2015

Waqt ne jhukna sikhaya,
Hum jhukna fir bhi na seekha...
Waqt ne na mari haar,
Magar aj jeet meri hui...
Sapne kar sakar aj mai apna badshah hua...
Waqt se ek guzarish...
Na karna apni koshishe adhuri,
Teri haar me meri jeet hai....
Teri koshisho me mere sapne....

Monday, 11 May 2015

Ma....
Ek khuda ki banayi moorat,
Jisse pooja har bache ne..
Diya khuda ka darja par kehte use ma hai...
Uski awaz har dard ki dawa hai,
Har pareshani ka hal hai,
Har dukh ka saath hai,
Har manzil ko pane ki chah hai...
Uske pyar ki chaya kadi dhoop me bhi thand ka ehsas hai,
Har marz ki dawa hai....
Har zokhim uthati ma,aanch na aye bache ko wo har dua karti hai ma..
Kare sab ghar ko yaad magar aye bas yaad ma ke haath ke khane ka swaad...
Bache ki har badmashiyan use achi lage...sab ho sab pareshan wo muskurati rahe...
Har khwaish use jarurat lage,
La deti wo sab jo bhi hume achi lage....
Wo sab chod humare liye bas jiye...khud rahe bhooki lekin hume pyasa bhi na rehne de...
Wo door baith kar bhi humara dil ka haal samaj le,
Uske liye humari har galti maaf hai..
Uske har lavz me pyar hai kbhi dost to kbhi papa ki daant hai...
Uski subah humse shuru humse khatam hoti....wo deti bas pyar hai...
Ma ke roop ko lavfoz me bandhana hosakta nai...kyuki jitni jee nai zindagi usse jyada mila ma ka pyar hai...
Nai magti kuch badale me bas krti beshuma pyar hai.....
Aesi pyar ke sagar ko kehte ma hai....


Love u ma....
Thank u god...fr such wonderful gift...

Friday, 24 April 2015

Tuje kaise batau ki meri saanso me kya hai...
Tuje kaise batau ki meri dil me kya hai....
Tuje samajau kaise ki tu meri dil ki dhadkan,
Tuje samajau kaise ki tu meri har pal ki soch,
Tujse hi mai shuru tujhi par khatam,
Tu hai to mai hu,tu nai to mai anth....
Bas yahi keh sakta hu tu meri zindagi ki khushbu,
Tu meri raaho ka kadam,
Tu mere lamho ka pal,
Tu meri ashiqui tu meri deewanagi....

Tuesday, 21 April 2015

Raho me phool bichte to samahalna na hota,
hota har kadam saath,yaari ka vishwas na hota,
Kismat jo karti wafa mehnat ka ehsaas na hota....
Dil darta hai ki waqt kaise guzarega...kaun rahega kaun rooth chalega...saath ka kisko pata...aj hai har lamha saath jeene ke liye...

Monday, 20 April 2015

Meri pyari behena...tuje bas yahi tha kehna

Behen khuda ka sabse khoobsurat tofa...
Uski shararat jitna satati utna hasati,
Uski muskurahat jitna sukun dilati utna aur pane ki chahat jagati,
Uski nadani sabko satati magr uski masoomiyat sabko bhati...
Uske kadamo me saara jahan hai rehta fir bhi armari me kuch nai pehene ko hota,
Uske haath ka khana bada swadisht magar tarif karna hume kaha ata,
Usko tang kar mile hai sukun magar uski zid puri karna sabka junoon...
Wo sabki chaheti magar fir bhi khud ko akele samjati...
Pyari behena hai meri...
jitni chulbuli utni pyari...
pyari behena tuje duniya ka saara pyar....
Sabse pyari meri behena...thodi shararati thodi nadan...
Masoom si meri pyari behena..

Wednesday, 1 April 2015

Tu mera junoon mera jahan hai....tere bin na mai pura na koi armaan hai...tuje bas chahna mera iman hai...mere rom rom me tera naam hai...mai tera naam japu...tu hi mera ishq tu hi mera bhagwan hai...

Monday, 23 March 2015

Teri muskurahat par hum nichawar hojate,
Teri julfo par hum hu hi kho jate,
Tere chehre ko mushkil hai dil se nikalna....
Bol de to dil hi tuje de ate....
Tere dil mai na sahi,
Kisi khushnaseeb ko asara mila..
Tu meri dilruba na sahi tere dost ka darja to mila...
Tu rahegi sada is dil me,
Bas tune apna dil ka haal is dil ko mauka to diya...

Sunday, 22 March 2015

Tere labho par apna naam sun mai tham sa gaya,
Teri nazaro me apna chehra dekh mai nazaren hata na saka,
Tere pyar me to hum bhi jeena chahte hai..,
Tune kara ijhhar...aur mai tuje inkar kar na saka....

Monday, 16 March 2015

Raho me phool bichte to samahalna na hota,
hota har kadam saath,yaari ka vishwas na hota,
Kismat jo karti wafa mehnat ka ehsaas na hota....

Saturday, 21 February 2015

A thought about the struggle in life

Raho me phool bichte to samahalna na hota,

Deta jo har koi saath har kadam yaari ka vishwas na hota,

Kismat jo karti wafa mehnat ka ehsaas na hota.....