Abhi to dil ne bataya nai,
Puchne ka mauka kabhi mila nai...
Jis din dhadkane hongi tez,
Tab puchenge dil se dekh use nazare milayi kyu nai...
Like to write shayari but never kept a note of them... Now started blogging to make my andaz at one place and help others to let them share it and also help me improve myself... Describing life or describing love... All can be done in poem way...so why not do it in little impressive way
Abhi to dil ne bataya nai,
Puchne ka mauka kabhi mila nai...
Jis din dhadkane hongi tez,
Tab puchenge dil se dekh use nazare milayi kyu nai...
Zindagi hai lamho se bana,
Dard ka rang lata hai nikar lamho ka..
Yaadein ban wo kadam age badate hai,
Lamhe jina kuch naya sikhate..
Saza dusre nai dete,dete hum khud hai,
Ho khud khud hi se rith jate hai...
Zindagi bas muskurane ke bahane deti hai,
Wo lamhe ji liya to khushiyan,
Na ji sake to aankhen nam..
Par kya zindagi ne wo nami di thi..
Ya humne nami apnayi thi...
Nami to bas jeene ka raaz jatati hai..
Bhaware hote hai mandrane ke liye,
Phulo ko pyar jatane ke liye..
Phul to hote hi hai khushbon ko phelane ke liye,
Bin bhaware phul me rang nai khilta...
Tasveere hoti hai muskurane keliye,
yaadon ko sajane ke liye..
Tasveere hoti hai ashiqon ke liye,
Duriyon ko paas lane ke liye..
Bhuli yaadon ko yaad ane ke liye,
Lamho ko zindagi dene keliye..
Khubsurati ko sametne ke liye,
Har pyar ke lamhe ke aasuon ko fir bhigane ke liye..
Jhukti nazaron ki nazakat,
Muskurate labho ki shararat..
Khile gulabi gaalo ki mohobbat,
Khubsurat chehre ki adakat..
Mithe sur ki awaz,
Nazuk haathon ka jam..
Khuda se bas yahi shikayat,
Dhadkan to hazar magar dil ek..
Jis lamhe ke liye traraste rahe,
Wo aya bhi to ek lamhe ke liye...
Na jaane wo lamha fir kab aega,
Jis lamhe keliye zindagi jeete rahe...
Kar sawari kashtiyon ki,
Lehron ke sang hum the chale..
Kinaro ko chune ki aas ek khwaish si reh gayi,
Waqt ke chale bas chalte hi chale gaye..
Yun to hum pani par bhi chala karte the,
Khwaish to bas khwabo ki mitti ko chune ki thi..
Chale the safar par kuch lamhe kuch sapno ke sang,
Aj bhi khwaish sapno ko jeene ki hai..
Har kadam khwab sawarte chale the,
Aj kadam khwabon ko chodne the chale..
Khwabon ka basta to aj bhi saath hai,
Magar kinare ko pane ki keemat khwab de rahe..